People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Poochta Hai Mann
Singer: KK
Music: Lalit Pandit
Lyricist: Javed Akhta
Tag: Hindi
Video:
tu ye kaha aa gaya hai re
kyu ye dhuaan chha gaya hai re
kaha kho gaya tera rasta
kya hai jiwan itna hi sasta
tujhe ho pata to bata
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

chhota sa ghar tha vo
apna magar tha vo
ab kaha, hai vo ab kaha
chhota sa jiwan tha vo jo apnapan tha
ab kaha, hai vo ab kaha
apno se dur hai tu, jakhmo se chur hai tu
o bandhu sun raha hai kya
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

loha to pighlega, ye jag to badlega
kar liya humne faisla
ab humne thani hai, kraanti laani hai
kar liya humne faisla
badlega ye sama, ye zami ye aasma
o bandhu sochta hai kya
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

nikle shikaari hai, laaye katari
dekhte, hai ke tu mile
kisne ye jana hai, kab ye thikana hai
tu bache, ya na tu bache
jaayega kaha bata, tujhe bhi nahi pata
o bandhu hona ab hai kya
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

murjhaaye phulo me, yaado ke jhulo me
man tera, hai ye man tera
ummed tuti hai, nind bhi ruthi hai
kho gaya, chaina kho gaya
aasha jaga le tu, sapne saja le tu
o bandhu par kare tu kya
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

phul to khilne hai, ek din badalne hai
din tere, bhai din tere
ye ho to jaayega, par ho naa paayega
din tere, bhai din tere
raah take raste, tere hi to waaste
o bandhu tu na dagmaga
puchhta hai man ye tera, haarega kab andhera
hona hai kab savera

tu ye kaha aa gaya hai re
kyu ye dhuaan chha gaya hai re
kaha kho gaya tera rasta
kya hai jiwan itna hi sasta
tujhe ho pata to bata